nashat-e-ruh wajh-e-garmi-e-mahfil nahin hota
nashāt-e-rūh vaj.h-e-garmī-e-mahfil nahīñ hotā
vo ik naġhma jo āvāz-e-shikast-e-dil nahīñ hotā
ba-juz sahrā-navardī aur kuchh hāsil nahīñ hotā
agar dast-e-junūñ parda-kash-e-mahmil nahīñ hotā
haqīqat-āshnā rang-e-ruḳh-e-bātil nahīñ hotā
ki ġhuncha TuuT kar bhī ham-navā-e-dil nahīñ hotā
yaqīnan hai abhī nā-vāqif-e-rasm-o-rah-e-manzil
vo ḳhizr-e-rāh jo gum-karda-e-manzil nahīñ hotā
zarā tīr-e-hadaf-jū soch kar azm-e-par-afshānī
ki firdaus-e-do-ālam ḳhūñ-bahā-e-dil nahīñ hotā
tū bahr-e-ishq meñ dil ko ham-āġhosh-e-talātum rakh
ye vo motī hai jo parvarda-e-sāhil nahīñ hotā
nashat-e-ruh wajh-e-garmi-e-mahfil nahin hota
wo ek naghma jo aawaz-e-shikast-e-dil nahin hota
ba-juz sahra-nawardi aur kuchh hasil nahin hota
agar dast-e-junun parda-kash-e-mahmil nahin hota
haqiqat-ashna rang-e-ruKH-e-baatil nahin hota
ki ghuncha TuT kar bhi ham-nawa-e-dil nahin hota
yaqinan hai abhi na-waqif-e-rasm-o-rah-e-manzil
wo KHizr-e-rah jo gum-karda-e-manzil nahin hota
zara tir-e-hadaf-ju soch kar azm-e-par-afshani
ki firdaus-e-do-alam KHun-baha-e-dil nahin hota
tu bahr-e-ishq mein dil ko ham-aghosh-e-talatum rakh
ye wo moti hai jo parwarda-e-sahil nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.