nashat kam hai ki saman-e-dilkashi kam hai
nashāt kam hai ki sāmān-e-dilkashī kam hai
sharīk-e-bazm nahīñ haiñ to kyā tumheñ ġham hai
ḳhudī kā zor hai ehsās-e-bandagī kam hai
ik inqalāb se barham nizām-e-ālam hai
hayāt vājib-o-mumkin kā rabt-e-bāham hai
hamāre dil kī taḌap hāsil-e-do-ālam hai
fareb jab se mohabbat pe ho gayā ġhālib
ik iztirāb hai bechain rūh-e-ālam hai
natīja aish-e-musalsal kā shauq-e-mamnūāt
ajab nahīñ ki ye mīrās-e-ibn-e-ādam hai
shajar nihāl haiñ ḳhandāñ haiñ gul khilīñ kaliyāñ
chaman meñ jān-e-tamannā kā ḳhair-maqdam hai
ye har ghaḌī kī pareshāñ-ḳhayāliyāñ 'āġhā'
tafakkurāt-e-zamāna se naak meñ dam hai
chhupā sakā na mohabbat ke raaz ko 'āġhā'
hazār zabt kiyā phir bhī aañkh pur-nam hai
nashat kam hai ki saman-e-dilkashi kam hai
sharik-e-bazm nahin hain to kya tumhein gham hai
KHudi ka zor hai ehsas-e-bandagi kam hai
ek inqalab se barham nizam-e-alam hai
hayat wajib-o-mumkin ka rabt-e-baham hai
hamare dil ki taDap hasil-e-do-alam hai
fareb jab se mohabbat pe ho gaya ghaalib
ek iztirab hai bechain ruh-e-alam hai
natija aish-e-musalsal ka shauq-e-mamnuat
ajab nahin ki ye miras-e-ibn-e-adam hai
shajar nihaal hain KHandan hain gul khilin kaliyan
chaman mein jaan-e-tamanna ka KHair-maqdam hai
ye har ghaDi ki pareshan-KHayaliyan 'agha'
tafakkuraat-e-zamana se nak mein dam hai
chhupa saka na mohabbat ke raaz ko 'agha'
hazar zabt kiya phir bhi aankh pur-nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.