nashe ki aag mein dekha gulab yani tu
nashe kī aag meñ dekhā gulāb ya.anī tū
badan ke jaam meñ desī sharāb ya.anī tū
hamāre lams ne sab taar kas diye us ke
vo jhanjhanāne ko bekal rabāb ya.anī tū
har ek chehra nazar se chakhā huā dekhā
har ik nazar se achhūtā shabāb ya.anī tū
safed qalmeñ huiiñ to siyāh-zulf milī
ab aisī umr meñ ye inqalāb ya.anī tū
mai ḳhud hī apnī nigāhoñ ki daad detā huuñ
hazār chehroñ meñ ik intiḳhāb ya.anī tū
mile mile na mile nekiyoñ kā phal mujh ko
ḳhudā ne de diyā mujh ko savāb ya.anī tū
gudāz jism kamal hoñT marmarī bāheñ
mirī tabī'at pe likkhī kitāb ya.anī tū
maiñ tere ishq se pahle gunāh kartā thā
mujhe diyā gayā dilkash azaab ya.anī tū
nashe ki aag mein dekha gulab yani tu
badan ke jam mein desi sharab yani tu
hamare lams ne sab tar kas diye us ke
wo jhanjhanane ko bekal rabab yani tu
har ek chehra nazar se chakha hua dekha
har ek nazar se achhuta shabab yani tu
safed qalmen huin to siyah-zulf mili
ab aisi umr mein ye inqalab yani tu
mai KHud hi apni nigahon ki dad deta hun
hazar chehron mein ek intiKHab yani tu
mile mile na mile nekiyon ka phal mujh ko
KHuda ne de diya mujh ko sawab yani tu
gudaz jism kamal honT marmari bahen
meri tabi'at pe likkhi kitab yani tu
main tere ishq se pahle gunah karta tha
mujhe diya gaya dilkash azab yani tu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.