nashe ki lahr tari ho rahi hai
nashe kī lahr taarī ho rahī hai
mirī āvāz bhārī ho rahī hai
raqīboñ par 'ināyat barsar-e-bazm
bahut ḳhātir hamārī ho rahī hai
sabhī mere maraz ko koste haiñ
ye kyā tīmār-dārī ho rahī hai
chaman kā rāsta mat gher ke baiTh
ḳhafā bād-e-bahārī ho rahī hai
sab apne apne ghar meñ mutma.in haiñ
mujhe kyoñ be-qarārī ho rahī hai
galī ke ek ghar meñ 'iid ke roz
ye kaisī āh-o-zārī ho rahī hai
sunā hai us galī se 'āshiqoñ kī
na.ī fehrist jaarī ho rahī hai
jo aa.e pūchhtā hai 'umr merī
'ajab tīmārdārī ho rahī hai
mire pahlū meñ vo hai aur mujh par
'ajab vahshat sī taarī ho rahī hai
nashe ki lahr tari ho rahi hai
meri aawaz bhaari ho rahi hai
raqibon par 'inayat barsar-e-bazm
bahut KHatir hamari ho rahi hai
sabhi mere maraz ko koste hain
ye kya timar-dari ho rahi hai
chaman ka rasta mat gher ke baiTh
KHafa baad-e-bahaari ho rahi hai
sab apne apne ghar mein mutmain hain
mujhe kyon be-qarari ho rahi hai
gali ke ek ghar mein 'id ke roz
ye kaisi aah-o-zari ho rahi hai
suna hai us gali se 'ashiqon ki
nai fehrist jari ho rahi hai
jo aae puchhta hai 'umr meri
'ajab timardari ho rahi hai
mere pahlu mein wo hai aur mujh par
'ajab wahshat si tari ho rahi hai
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 122)
- Author :Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.