nashe mein chur raha karta hun
nashe meñ chuur rahā kartā huuñ
roz maḳhmūr rahā kartā huuñ
ġhair ke dil meñ jagah hai merī
ban ke nāsūr rahā kartā huuñ
hotī rahtī hai tajallī har dam
barsar-e-tūr rahā kartā huuñ
naar ho kar maiñ chamaktā huuñ kabhī
kabhī maiñ nuur rahā kartā huuñ
ab kahāñ vasl kī rāteñ haiñ nasīb
ab to mahjūr rahā kartā huuñ
iḳhtiyār apnī tabī.at pe nahīñ
haa.e majbūr rahā kartā huuñ
sho.ala-rūyoñ se bahut bachtā huuñ
duur hī duur rahā kartā huuñ
tere kūche meñ uThā kar zillat
hai jo manzūr rahā kartā huuñ
ranj-o-ġham ne mujhe maarā hai 'fahīm'
saḳht ranjūr rahā kartā huuñ
nashe mein chur raha karta hun
roz maKHmur raha karta hun
ghair ke dil mein jagah hai meri
ban ke nasur raha karta hun
hoti rahti hai tajalli har dam
barsar-e-tur raha karta hun
nar ho kar main chamakta hun kabhi
kabhi main nur raha karta hun
ab kahan wasl ki raaten hain nasib
ab to mahjur raha karta hun
iKHtiyar apni tabiat pe nahin
hae majbur raha karta hun
shoala-ruyon se bahut bachta hun
dur hi dur raha karta hun
tere kuche mein uTha kar zillat
hai jo manzur raha karta hun
ranj-o-gham ne mujhe mara hai 'fahim'
saKHt ranjur raha karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.