nashe mein jhumta gata hun TuT jata hun
nashe meñ jhūmtā gaatā huuñ TuuT jaatā huuñ
tumhārā hijr manātā huuñ TuuT jaatā huuñ
ye kaisī miTTī se āḳhir mujhe banāyā gayā
kisī se haath milātā huuñ TuuT jaatā huuñ
kabhī to lagtā hai jaise maiñ ek patthar huuñ
phir itnā shor machātā huuñ TuuT jaatā huuñ
anā-parast huuñ itnā ki apne haath ke bhī
hathelī sāmne laatā huuñ TuuT jaatā huuñ
na-jāne kaun sī manzil kā maiñ musāfir huuñ
kisī bhī raah se jaatā huuñ TuuT jaatā huuñ
maiñ us kī aañkh meñ rahtā huuñ ḳhvāb kī sūrat
tulū'-e-sub.h tak aatā huuñ TuuT jaatā huuñ
kisī tarah se maiñ ḳhud ko banā to letā huuñ
phir ek 'aks banātā huuñ TuuT jaatā huuñ
nashe mein jhumta gata hun TuT jata hun
tumhaara hijr manata hun TuT jata hun
ye kaisi miTTi se aaKHir mujhe banaya gaya
kisi se hath milata hun TuT jata hun
kabhi to lagta hai jaise main ek patthar hun
phir itna shor machata hun TuT jata hun
ana-parast hun itna ki apne hath ke bhi
hatheli samne lata hun TuT jata hun
na-jaane kaun si manzil ka main musafir hun
kisi bhi rah se jata hun TuT jata hun
main us ki aankh mein rahta hun KHwab ki surat
tulu'-e-subh tak aata hun TuT jata hun
kisi tarah se main KHud ko bana to leta hun
phir ek 'aks banata hun TuT jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.