nasheb-e-wahm faraaz-e-gurez-pa ke liye
nasheb-e-vahm farāz-e-gurez-pā ke liye
hisār-e-ḳhāk hai had par har intihā ke liye
vufūr-e-nashshā se rañgat siyāh sī hai mirī
jalā huuñ maiñ bhī ajab chashm-e-surma-sā ke liye
hai ird-gird ghanā ban hare daraḳhtoñ kā
khulā hai dar kisī dīvār meñ havā ke liye
zamīñ hai maskan-e-shar āsmāñ sarāb-ālūd
hai saarā ahd sazā meñ kisī ḳhatā ke liye
asīrī-e-pas-e-ā.īna-e-baqā aur tū
nikal ke aa bhī vahāñ se kabhī ḳhudā ke liye
khaḌā huuñ zer-e-falak gumbad-e-sadā meñ 'munīr'
ki jaise haath uThā ho koī duā ke liye
nasheb-e-wahm faraaz-e-gurez-pa ke liye
hisar-e-KHak hai had par har intiha ke liye
wufur-e-nashsha se rangat siyah si hai meri
jala hun main bhi ajab chashm-e-surma-sa ke liye
hai ird-gird ghana ban hare daraKHton ka
khula hai dar kisi diwar mein hawa ke liye
zamin hai maskan-e-shar aasman sarab-alud
hai sara ahd saza mein kisi KHata ke liye
asiri-e-pas-e-aina-e-baqa aur tu
nikal ke aa bhi wahan se kabhi KHuda ke liye
khaDa hun zer-e-falak gumbad-e-sada mein 'munir'
ki jaise hath uTha ho koi dua ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.