nashshe mein hain kabhi to kabhi hain KHumar mein
nashshe meñ haiñ kabhī to kabhī haiñ ḳhumār meñ
achchhī guzar rahī hai tire intizār meñ
guzregā roz-e-hashr bhī ab intizār meñ
shāmil hai ye bhī vāda-e-fardā-e-yār meñ
chup-chāp bhī na baiTh sake bazm-e-yār meñ
majbūriyāñ bhī ġhair ke thiiñ iḳhtiyār meñ
taare bhī jhilmilā ke ba-hasrat hue ġhurūb
kyā kyā bujhe charāġh shab-e-intizār meñ
toḌe subū ko ḳhaak ki ab mohtasib ko bhī
ḳhud lutf aa rahā hai shikast-e-ḳhumār meñ
ai chashm-e-shauq jalva-e-mahbūb ke sivā
kyā kyā na dekhnā hai tujhe intizār meñ
lākhoñ qafas haiñ lā.egī kis kis meñ bū-e-gul
chaḌhne lagegī saañs sabā kī bahār meñ
nashshe mein hain kabhi to kabhi hain KHumar mein
achchhi guzar rahi hai tere intizar mein
guzrega roz-e-hashr bhi ab intizar mein
shamil hai ye bhi wada-e-farda-e-yar mein
chup-chap bhi na baiTh sake bazm-e-yar mein
majburiyan bhi ghair ke thin iKHtiyar mein
tare bhi jhilmila ke ba-hasrat hue ghurub
kya kya bujhe charagh shab-e-intizar mein
toDe subu ko KHak ki ab mohtasib ko bhi
KHud lutf aa raha hai shikast-e-KHumar mein
ai chashm-e-shauq jalwa-e-mahbub ke siwa
kya kya na dekhna hai tujhe intizar mein
lakhon qafas hain laegi kis kis mein bu-e-gul
chaDhne lagegi sans saba ki bahaar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.