nashtar se aarzu ke dil-e-zindagi figar
nashtar se aarzū ke dil-e-zindagī figār
ḳhud zindagī vajūd ke siine meñ nok-e-ḳhār
ai husn-e-yār terī tajallī ko kyā huā
ye be-qarār dil mirā ab tak hai be-qarār
jalvoñ ne tere hasrat-e-nazzāra ko mirī
dekhā kiyā hai nāz-e-taġhāful se baar baar
dil par nigāh-e-shauq mizāj-e-jamāl par
hālāt-o-vārdāt pe kis ko hai iḳhtiyār
mujh par huī navāzish-e-pinhāñ kabhī kabhī
mahrūm sā.atoñ kī tamannā hai sogvār
allāh tere husn-e-farozāñ kī pardagī
ik lau sī thartharā.ī pas-e-chashm-e-ashk-bār
kī rahbarī ḳhayāl-e-lab-e-yār tak mirī
ai tishnagī-e-shauq mirī zindagī nisār
nashtar se aarzu ke dil-e-zindagi figar
KHud zindagi wajud ke sine mein nok-e-KHar
ai husn-e-yar teri tajalli ko kya hua
ye be-qarar dil mera ab tak hai be-qarar
jalwon ne tere hasrat-e-nazzara ko meri
dekha kiya hai naz-e-taghaful se bar bar
dil par nigah-e-shauq mizaj-e-jamal par
haalat-o-wardat pe kis ko hai iKHtiyar
mujh par hui nawazish-e-pinhan kabhi kabhi
mahrum saaton ki tamanna hai sogwar
allah tere husn-e-farozan ki pardagi
ek lau si thartharai pas-e-chashm-e-ashk-bar
ki rahbari KHayal-e-lab-e-yar tak meri
ai tishnagi-e-shauq meri zindagi nisar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.