nashtari lafzon ka lahja marhami rakkha gaya
nashtarī lafzoñ kā lahja marhamī rakkhā gayā
zaḳhm par mirchī se pahle thoḌā ghī rakkhā gayā
'ishq meñ jis dam ḳhamīr-e-'āshiqī rakkhā gayā
husn ke andar mizāj-e-be-ruḳhī rakkhā gayā
aadmī kā imtihāñ se jab guzarnā tai huā
aadmī ko rū-barū-e-zindagī rakkhā gayā
niiñd vāloñ ko yahāñ rakkhā gayā fōtpath par
jāgne vāloñ kā bistar maḳhmalī rakkhā gayā
piine vāloñ ke bahakne se agar parhez thā
bazm meñ phir kyoñ nizām-e-mai-kashī rakkhā gayā
rakhne vaalā jāntā thā 'ishq kā ġham is liye
lutf ke pahlū meñ dard-e-‘āshiqī rakkhā gayā
un ko mahbūb-e-ḳhudā hone kā hāsil hai sharaf
shukr hai mujh ko unhī kā ummatī rakkhā gayā
chūñki rishta aadmī kā hazrat-e-ādam se hai
is liye naam aadmī kā aadmī rakkhā gayā
gardish-e-daurāñ kī tāqat kā bhī andāza huā
jab mire hī ghar kā mujh ko ardalī rakkhā gayā
aaj phir 'aḳhlāq' vā'da kar ke vo aaya nahīñ
aaj phir mujh ko ḳhushī se duur hī rakkhā gayā
nashtari lafzon ka lahja marhami rakkha gaya
zaKHm par mirchi se pahle thoDa ghi rakkha gaya
'ishq mein jis dam KHamir-e-'ashiqi rakkha gaya
husn ke andar mizaj-e-be-ruKHi rakkha gaya
aadmi ka imtihan se jab guzarna tai hua
aadmi ko ru-baru-e-zindagi rakkha gaya
nind walon ko yahan rakkha gaya footpath par
jagne walon ka bistar maKHmali rakkha gaya
pine walon ke bahakne se agar parhez tha
bazm mein phir kyon nizam-e-mai-kashi rakkha gaya
rakhne wala jaanta tha 'ishq ka gham is liye
lutf ke pahlu mein dard-e-‘ashiqi rakkha gaya
un ko mahbub-e-KHuda hone ka hasil hai sharaf
shukr hai mujh ko unhi ka ummati rakkha gaya
chunki rishta aadmi ka hazrat-e-adam se hai
is liye nam aadmi ka aadmi rakkha gaya
gardish-e-dauran ki taqat ka bhi andaza hua
jab mere hi ghar ka mujh ko ardali rakkha gaya
aaj phir 'aKHlaq' wa'da kar ke wo aaya nahin
aaj phir mujh ko KHushi se dur hi rakkha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.