nasib ab ke KHushi be-hisab le aaya
nasib ab ke KHushi be-hisab le aaya
Ehtisham ul Haq Siddiqui
MORE BYEhtisham ul Haq Siddiqui
nasīb ab ke ḳhushī be-hisāb le aayā
charāġh lene gayā āftāb le aayā
abhī jalā ke uThā huuñ purāne ḳhvāboñ ko
vo mere vāste phir taaza ḳhvāb le aayā
phir aaj bhaav samundar kā āsmān pe thā
phir aaj apne liye maiñ sarāb le aayā
fasurda dekh ke us ko bahut pashemāñ huuñ
maiñ regzār meñ kyoñ ik gulāb le aayā
tujhe to haañ yā nahīñ meñ javāb denā thā
javāb meñ tū mukammal kitāb le aayā
abhī chalā hī thā dil ik gunāh karne ko
ki zehn jā ke ḳhayāl-e-azāb le aayā
nasib ab ke KHushi be-hisab le aaya
charagh lene gaya aaftab le aaya
abhi jala ke uTha hun purane KHwabon ko
wo mere waste phir taza KHwab le aaya
phir aaj bhaw samundar ka aasman pe tha
phir aaj apne liye main sarab le aaya
fasurda dekh ke us ko bahut pasheman hun
main regzar mein kyon ek gulab le aaya
tujhe to han ya nahin mein jawab dena tha
jawab mein tu mukammal kitab le aaya
abhi chala hi tha dil ek gunah karne ko
ki zehn ja ke KHayal-e-azab le aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.