nasib achchha agar ho to bulandi khinch leti hai
nasīb achchhā agar ho to bulandī khīñch letī hai
bulandī kā ġhurūr aate hī pastī khīñch letī hai
na jaane kaisī majbūrī meñ bechī thī buzurgoñ ne
udhar jaatā huuñ to nazreñ havelī khīñch letī hai
nikal jaatī hai jab ye ruuh to kuchh bhī nahīñ rahtā
hamāre jism kī miTTī ko miTTī khīñch letī hai
kināre baiTh ke Dore na Daalā kar samundar meñ
baḌī phañs jaa.e to insāñ ko machhlī khīñch letī hai
kabhī pāmāl kartī hai ye duniyā sar-bañdhe sehre
kabhī meñhdī rache hāthoñ se surḳhī khīñch letī hai
daġhā-bāzī-o-be-rahmī sitamgārī-o-makkārī
inhī ausāf ke hāmil ko dillī khīñch letī hai
siyāsat kī qalā-bāzī baḌī dilchasp hai 'ahsan'
zarā sī chuuk ho jaane pe kursī khīñch letī hai
nasib achchha agar ho to bulandi khinch leti hai
bulandi ka ghurur aate hi pasti khinch leti hai
na jaane kaisi majburi mein bechi thi buzurgon ne
udhar jata hun to nazren haweli khinch leti hai
nikal jati hai jab ye ruh to kuchh bhi nahin rahta
hamare jism ki miTTi ko miTTi khinch leti hai
kinare baiTh ke Dore na Dala kar samundar mein
baDi phans jae to insan ko machhli khinch leti hai
kabhi pamal karti hai ye duniya sar-bandhe sehre
kabhi meinhdi rache hathon se surKHi khinch leti hai
dagha-bazi-o-be-rahmi sitamgari-o-makkari
inhi ausaf ke hamil ko dilli khinch leti hai
siyasat ki qala-bazi baDi dilchasp hai 'ahsan'
zara si chuk ho jaane pe kursi khinch leti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.