nasib apne yahan tum se bahra-war na hue
nasib apne yahan tum se bahra-war na hue
Abdus Sattar Akhtar Ansari
MORE BYAbdus Sattar Akhtar Ansari
nasīb apne yahāñ tum se bahra-var na hue
tamām umr kabhī markaz-e-nazar na hue
tamām umr hamārī kuchh is tarah guzrī
tumhārī yaad se ik lamha be-ḳhabar na hue
vo kaun se haiñ marāhil rah-e-mohabbat meñ
junūn-e-ishq-o-mohabbat se bhī jo sar na hue
tumhārī yādoñ ke naġhmoñ kī guuñj ke sadqe
udaas dil ke hamāre kabhī guhar na hue
hamāre ḳhvāb salāmat tasavvurāt ba-ḳhair
nazar se duur hamārī vo raat bhar na hue
pahuñchte le ke use manzil-e-mohabbat par
nasīb aise zamāne ko rāhbar na hue
jo zabt-e-ġham ke bhī qābil na ho sake 'aḳhtar'
vahī to ashk ke qatre hue guhar na hue
nasib apne yahan tum se bahra-war na hue
tamam umr kabhi markaz-e-nazar na hue
tamam umr hamari kuchh is tarah guzri
tumhaari yaad se ek lamha be-KHabar na hue
wo kaun se hain marahil rah-e-mohabbat mein
junun-e-ishq-o-mohabbat se bhi jo sar na hue
tumhaari yaadon ke naghmon ki gunj ke sadqe
udas dil ke hamare kabhi guhar na hue
hamare KHwab salamat tasawwuraat ba-KHair
nazar se dur hamari wo raat bhar na hue
pahunchte le ke use manzil-e-mohabbat par
nasib aise zamane ko rahbar na hue
jo zabt-e-gham ke bhi qabil na ho sake 'aKHtar'
wahi to ashk ke qatre hue guhar na hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.