nasib dar pe tere aazmane aaya hun
nasīb dar pe tire āzmāne aayā huuñ
tujhī ko terī kahānī sunāne aayā huuñ
jo naġhme so.e hue haiñ tire ḳhayāloñ meñ
unhīñ ko aaj meñ gā kar sunāne aayā huuñ
bahā bhī de mirī hālat pe aaj do aañsū
maiñ apne dil kī lagī ko bujhāne aayā huuñ
agar vo sāmne hote to un se ye kahtā
tire huzūr maiñ bigḌī banāne aayā huuñ
nasib dar pe tere aazmane aaya hun
tujhi ko teri kahani sunane aaya hun
jo naghme soe hue hain tere KHayalon mein
unhin ko aaj mein ga kar sunane aaya hun
baha bhi de meri haalat pe aaj do aansu
main apne dil ki lagi ko bujhane aaya hun
agar wo samne hote to un se ye kahta
tere huzur main bigDi banane aaya hun
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 817)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.