nasib-e-chashm mein likkha hai gar pani nahin hona
nasīb-e-chashm meñ likkhā hai gar paanī nahīñ honā
to kyā ye tai hai ab ranj-e-pashemānī nahīñ honā
sakūñ se jā lagegī dil kī kashtī apne sāhil se
ki is barsāt meñ dariyā ko tūfānī nahīñ honā
sabhī kuchh tai-shuda mā'mūlī jaisā hone vaalā hai
kisī bhī vāqa'e ko vaj.h-e-hairānī nahīñ honā
junūñ meñ mumkina had tak rahegā hosh bhī shāmil
mirī jaañ be-zarūrat kār-e-nādānī nahīñ honā
hamīñ un ḳhush-nasīboñ meñ se haiñ, jin ke nasīboñ meñ
ḳhudā ne saaf likkhā hai pareshānī nahīñ honā
nasib-e-chashm mein likkha hai gar pani nahin hona
to kya ye tai hai ab ranj-e-pashemani nahin hona
sakun se ja lagegi dil ki kashti apne sahil se
ki is barsat mein dariya ko tufani nahin hona
sabhi kuchh tai-shuda ma'muli jaisa hone wala hai
kisi bhi waqa'e ko wajh-e-hairani nahin hona
junun mein mumkina had tak rahega hosh bhi shamil
meri jaan be-zarurat kar-e-nadani nahin hona
hamin un KHush-nasibon mein se hain, jin ke nasibon mein
KHuda ne saf likkha hai pareshani nahin hona
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 33)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.