nasib mein hai judai to rona-dhona kya
nasīb meñ hai judā.ī to ronā-dhonā kyā
hai saarī chiiz parā.ī to ronā-dhonā kyā
yahāñ to apne hī apnoñ ko maar dete haiñ
havā ne sham.a bujhā.ī to ronā-dhonā kyā
usī ne haath baḌhāyā thā dostī ke liye
usī ne baat baḌhā.ī to ronā-dhonā kyā
mire aziiz hī jab mere munharif nikle
huī ḳhilāf ḳhudā.ī to ronā-dhonā kyā
hazār saal ke jab būḌhe mar ga.e 'shauqī'
kamā.ī chiiz gañvā.ī to ronā-dhonā kyā
nasib mein hai judai to rona-dhona kya
hai sari chiz parai to rona-dhona kya
yahan to apne hi apnon ko mar dete hain
hawa ne shama bujhai to rona-dhona kya
usi ne hath baDhaya tha dosti ke liye
usi ne baat baDhai to rona-dhona kya
mere aziz hi jab mere munharif nikle
hui KHilaf KHudai to rona-dhona kya
hazar sal ke jab buDhe mar gae 'shauqi'
kamai chiz ganwai to rona-dhona kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.