nasib mein wo mere raat likhte jate hain
nasīb meñ vo mire raat likhte jaate haiñ
hamesha dard kī sauġhāt likhte jaate haiñ
har ek jurm kī tardīd kar rahā huuñ maiñ
magar vo khāte meñ isbāt likhte jaate haiñ
maiñ kam-suḳhan huuñ kināra-kashī kā qaa.il huuñ
vo har pahar kī mulāqāt likhte jaate haiñ
samajh rahe the ki mā'zūr ho gayā 'shāhid'
kaTe zarūr haiñ par haat likhte jaate haiñ
nasib mein wo mere raat likhte jate hain
hamesha dard ki saughat likhte jate hain
har ek jurm ki tardid kar raha hun main
magar wo khate mein isbaat likhte jate hain
main kam-suKHan hun kinara-kashi ka qail hun
wo har pahar ki mulaqat likhte jate hain
samajh rahe the ki ma'zur ho gaya 'shahid'
kaTe zarur hain par hat likhte jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.