nasiba jag uTTha aur muqaddar ban gaya apna
nasība jaag uTThā aur muqaddar ban gayā apnā
jahāñ dīvār hai us kī vahīñ ghar ban gayā apnā
na jaane dhuup ne apnī zabāñ meñ kyā kah us se
shajar ke jism se saaya nikal kar ban gayā apnā
hamārī aañkh se nīñdoñ kā rishta toḌne vaale
koī tujh se sivā ḳhush-rañg paikar ban gayā apnā
hamārā sar salāmat hī rahā sañg-e-havādis meñ
jo patthar bhī idhar aayā vo patthar ban gayā apnā
safar meñ saath apne dhuup dariyā aur samundar the
hamārī ḳhush-nasībī thī samundar ban gayā apnā
havā bārish samundar kā kināra aur ham donoñ
kuchh aise kho ga.e manzar meñ manzar ban gayā apnā
yahī bārish kā mausam thā havā.eñ tez thiiñ us din
bahut bhīgā huā thā vo simaT kar ban gayā apnā
'matīn' ik umr guzrī hai suḳhan ko aab dene meñ
tabhī almās-lahja sab se haT kar ban gayā apnā
nasiba jag uTTha aur muqaddar ban gaya apna
jahan diwar hai us ki wahin ghar ban gaya apna
na jaane dhup ne apni zaban mein kya kah us se
shajar ke jism se saya nikal kar ban gaya apna
hamari aankh se nindon ka rishta toDne wale
koi tujh se siwa KHush-rang paikar ban gaya apna
hamara sar salamat hi raha sang-e-hawadis mein
jo patthar bhi idhar aaya wo patthar ban gaya apna
safar mein sath apne dhup dariya aur samundar the
hamari KHush-nasibi thi samundar ban gaya apna
hawa barish samundar ka kinara aur hum donon
kuchh aise kho gae manzar mein manzar ban gaya apna
yahi barish ka mausam tha hawaen tez thin us din
bahut bhiga hua tha wo simaT kar ban gaya apna
'matin' ek umr guzri hai suKHan ko aab dene mein
tabhi almas-lahja sab se haT kar ban gaya apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.