nasīhat kī kitāboñ ke binā haiñ
hazāroñ log apnoñ ke binā haiñ
tumheñ afsos hai juute nahīñ haiñ
bahut se log pairoñ ke binā haiñ
sabhī ke ghar nahīñ raushan diyoñ se
bahut se log bachchoñ ke binā haiñ
yatīmoñ ke bujhe chehre to dekho
sitāre āsmānoñ ke binā haiñ
ġharībī jin kā sūraj khā ga.ī hai
vo bebas dil ujāloñ ke binā haiñ
kafan ko oḌh kar sote haiñ be-ghar
kahāñ fōtpath ḳhatroñ ke binā hai
nasihat ki kitabon ke bina hain
hazaron log apnon ke bina hain
tumhein afsos hai jute nahin hain
bahut se log pairon ke bina hain
sabhi ke ghar nahin raushan diyon se
bahut se log bachchon ke bina hain
yatimon ke bujhe chehre to dekho
sitare aasmanon ke bina hain
gharibi jin ka suraj kha gai hai
wo bebas dil ujalon ke bina hain
kafan ko oDh kar sote hain be-ghar
kahan footpath KHatron ke bina hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.