nasim-e-subh kyun iThla rahi hai
nasīm-e-sub.h kyuuñ iThlā rahī hai
ḳhudā jaane kahāñ se aa rahī hai
vo mil jaa.eñ sabā to un se kahnā
ye barkhā rut bhī biitī jā rahī hai
kisī se duur ho jaane kī saa.at
bahut nazdīk aatī jā rahī hai
ye kyuuñ baḌhne lagī hai dil kī dhaḌkan
hamārī yaad kis ko aa rahī hai
bahāroñ kā payām aayā hai shāyad
havā zanjīr-e-dar khaḌkā rahī hai
vo jitnī chāra-sāzī kar rahe haiñ
ḳhalish kuchh aur baḌhtī rahī hai
nasim-e-subh kyun iThla rahi hai
KHuda jaane kahan se aa rahi hai
wo mil jaen saba to un se kahna
ye barkha rut bhi biti ja rahi hai
kisi se dur ho jaane ki saat
bahut nazdik aati ja rahi hai
ye kyun baDhne lagi hai dil ki dhaDkan
hamari yaad kis ko aa rahi hai
bahaaron ka payam aaya hai shayad
hawa zanjir-e-dar khaDka rahi hai
wo jitni chaara-sazi kar rahe hain
KHalish kuchh aur baDhti rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.