nasim-e-subh pareshan hai dekhiye kya ho
nasīm-e-sub.h pareshāñ hai dekhiye kyā ho
ḳhizāñ kī zad meñ gulistāñ hai dekhiye kyā ho
gulāb zard huā laala dāġh-dār huā
shagūfa ḳhauf se larzāñ hai dekhiye kyā ho
irāda vahshat-o-ġhārat-garī hai zālim kā
nishāna shahr-e-nigārāñ hai dekhiye kyā ho
vo abr jis ke barasne se phuul khilte the
vo aaj sho.ala-ba-dāmāñ hai dekhiye kyā ho
lagī haiñ yāroñ kī āñkheñ na.e havādis par
har ek aa.ina hairāñ hai dekhiye kyā ho
sabhī rafīq-o-shafīq aaj chhūTe jaate haiñ
badan se ruuh gurezāñ hai dekhiye kyā ho
ġham-e-hayāt se mumkin nahīñ mafar lekin
najāt milne kā imkāñ hai dekhiye kyā ho
nasim-e-subh pareshan hai dekhiye kya ho
KHizan ki zad mein gulistan hai dekhiye kya ho
gulab zard hua lala dagh-dar hua
shagufa KHauf se larzan hai dekhiye kya ho
irada wahshat-o-ghaarat-gari hai zalim ka
nishana shahr-e-nigaran hai dekhiye kya ho
wo abr jis ke barasne se phul khilte the
wo aaj shoala-ba-daman hai dekhiye kya ho
lagi hain yaron ki aankhen nae hawadis par
har ek aaina hairan hai dekhiye kya ho
sabhi rafiq-o-shafiq aaj chhuTe jate hain
badan se ruh gurezan hai dekhiye kya ho
gham-e-hayat se mumkin nahin mafar lekin
najat milne ka imkan hai dekhiye kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.