nasim-e-subh to kya tund-KHu hawa bhi nahin
nasīm-e-sub.h to kyā tund-ḳhū havā bhī nahīñ
ye kyā sitam hai ki vo mujh se ab ḳhafā bhī nahīñ
fasurda chehra-e-gul hai ye kaisā mausam hai
ki gulsitāñ meñ koī shoḳhī-e-sabā bhī nahīñ
kahāñ maiñ laayā gayā huuñ na koī apnā na ġhair
ilāhī lutf-e-hayāt-e-gurez-pā bhī nahīñ
ajab hai hāl-e-dil-e-zār kis zabāñ se kahūñ
ilāj-e-zaḳhm-e-tamanna tirī adā bhī nahīñ
ḳhayāl-e-garmī-e-mauj-e-nafas kī shiddat se
jalā huuñ aisā ki ab koī sānehā bhī nahīñ
isī se faash huā zindagī kā soz-e-darūñ
mirī ḳhamosh-nigāhī ki be-navā bhī nahīñ
nasim-e-subh to kya tund-KHu hawa bhi nahin
ye kya sitam hai ki wo mujh se ab KHafa bhi nahin
fasurda chehra-e-gul hai ye kaisa mausam hai
ki gulsitan mein koi shoKHi-e-saba bhi nahin
kahan main laya gaya hun na koi apna na ghair
ilahi lutf-e-hayat-e-gurez-pa bhi nahin
ajab hai haal-e-dil-e-zar kis zaban se kahun
ilaj-e-zaKHm-e-tamanna teri ada bhi nahin
KHayal-e-garmi-e-mauj-e-nafas ki shiddat se
jala hun aisa ki ab koi saneha bhi nahin
isi se fash hua zindagi ka soz-e-darun
meri KHamosh-nigahi ki be-nawa bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.