nasl-dar-nasl mila hai hamein uftad ka dukh
nasl-dar-nasl milā hai hameñ uftād kā dukh
mire ajdād kā dukh hai mirī aulād kā dukh
maiñ ne jaltā huā phir paak vatan bhī dekhā
maiñ na bhūlā thā abhī kābul-o-baġhdād kā dukh
jāñ-ba-haq kitne hue aur haiñ zaḳhmī kitne
ek muddat se hai lāhaq mujhe ā'dād kā dukh
shahr-e-dā.ūd meñ suntā hī nahīñ hai koī
mere vijdān kī chīḳheñ ye mire naad kā dukh
kitne hī log baḌhe merā mudāvā karne
bāñTne koī na aaya mire ham-zād kā dukh
lauT aaya huuñ qafas meñ ba-razā-o-raġhbat
mujh se dekhā nahīñ jaatā mire sayyād kā dukh
tere hote hue har dukh meñ bhī sukh shāmil the
ab to shāmil hai har ik sukh meñ tirī yaad kā dukh
nasl-dar-nasl mila hai hamein uftad ka dukh
mere ajdad ka dukh hai meri aulad ka dukh
main ne jalta hua phir pak watan bhi dekha
main na bhula tha abhi kabul-o-baghdad ka dukh
jaan-ba-haq kitne hue aur hain zaKHmi kitne
ek muddat se hai lahaq mujhe aa'dad ka dukh
shahr-e-daud mein sunta hi nahin hai koi
mere wijdan ki chiKHen ye mere nad ka dukh
kitne hi log baDhe mera mudawa karne
banTne koi na aaya mere ham-zad ka dukh
lauT aaya hun qafas mein ba-raza-o-raghbat
mujh se dekha nahin jata mere sayyaad ka dukh
tere hote hue har dukh mein bhi sukh shamil the
ab to shamil hai har ek sukh mein teri yaad ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.