nataej jab sar-e-mahshar milenge
natā.ej jab sar-e-mahshar mileñge
mohabbat ke alag number mileñge
koī chālāk paanī pī gayā hai
ghaḌe meñ ab faqat kankar mileñge
ye dīvāreñ kisī kī muntazir haiñ
yahāñ har samt calender mileñge
havā kī pairvī karnī paḌegī
yūñhī thoḌī shajar jhuk kar mileñge
tumhārī mezbānī ke bahāne
koī din ham bhī apne ghar mileñge
nataej jab sar-e-mahshar milenge
mohabbat ke alag number milenge
koi chaalak pani pi gaya hai
ghaDe mein ab faqat kankar milenge
ye diwaren kisi ki muntazir hain
yahan har samt calender milenge
hawa ki pairwi karni paDegi
yunhi thoDi shajar jhuk kar milenge
tumhaari mezbani ke bahane
koi din hum bhi apne ghar milenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.