natija sunne ka ab hausla to karna hai
natīja sunñe kā ab hausla to karnā hai
vo merā hai ki nahīñ faisla to karnā hai
maiñ us ke pyaar meñ sāñseñ bhī haar saktī huuñ
is intihā se use āshnā to karnā hai
phir is ke ba.ad koī darmiyāñ na aa paa.e
ḳhayāl-e-yār ko yuuñ ham-navā to karnā hai
sabā ne dī hai ḳhabar aaj us ke aane kī
dayār-e-dil ko ab ārāsta to karnā hai
maiñ us ko dekh sakūñ aañkh band kar ke bhī
ai mere ishq tujhe mo.ajiza to karnā hai
agarche in dinoñ rahtī huuñ maiñ ḳhafā us se
magar kabhī na kabhī sāmnā to karnā hai
bichhaḌ ke jiinā agarche 'sadaf' nahīñ āsāñ
kahīñ pe ḳhatm magar silsila to karnā hai
natija sunne ka ab hausla to karna hai
wo mera hai ki nahin faisla to karna hai
main us ke pyar mein sansen bhi haar sakti hun
is intiha se use aashna to karna hai
phir is ke baad koi darmiyan na aa pae
KHayal-e-yar ko yun ham-nawa to karna hai
saba ne di hai KHabar aaj us ke aane ki
dayar-e-dil ko ab aarasta to karna hai
main us ko dekh sakun aankh band kar ke bhi
ai mere ishq tujhe moajiza to karna hai
agarche in dinon rahti hun main KHafa us se
magar kabhi na kabhi samna to karna hai
bichhaD ke jina agarche 'sadaf' nahin aasan
kahin pe KHatm magar silsila to karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.