natija tajassus ka behtar bhi hai
natīja tajassus kā behtar bhī hai
mashaqqat kī tah meñ muqaddar bhī hai
nadī paar karnā hī kaafī nahīñ
abhī rāste meñ samundar bhī hai
agar ghar ko chhoḌeñ to jaa.eñ kahāñ
qayāmat to khiḌkī se bāhar bhī hai
gulāboñ kā dhokā na khaa.e koī
azīzoñ kī jholī meñ patthar bhī hai
nahīñ niiñd āñkhoñ meñ tujh bin mirī
ḳhunuk raat hai tan pe chādar bhī hai
batāo zamāne meñ 'at.har' tumheñ
sukūñ ek din ko mayassar bhī hai
natija tajassus ka behtar bhi hai
mashaqqat ki tah mein muqaddar bhi hai
nadi par karna hi kafi nahin
abhi raste mein samundar bhi hai
agar ghar ko chhoDen to jaen kahan
qayamat to khiDki se bahar bhi hai
gulabon ka dhoka na khae koi
azizon ki jholi mein patthar bhi hai
nahin nind aankhon mein tujh bin meri
KHunuk raat hai tan pe chadar bhi hai
batao zamane mein 'athar' tumhein
sukun ek din ko mayassar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.