natije sare yaqin se nikle
natīje saare yaqīñ se nikle
ḳhazāne ghar kī zamīñ se nikle
har ek qatra gavāhī degā
lahū hamārā kahīñ se nikle
lage the pahre vahāñ pe har-sū
hamārī zid thī vahīñ se nikle
sunā.ūñ jab bhī ġhazal maiñ us ko
pasīna us kī jabīñ se nikle
añdherī shab aur maiñ akelā
koī to taara kahīñ se nikle
natije sare yaqin se nikle
KHazane ghar ki zamin se nikle
har ek qatra gawahi dega
lahu hamara kahin se nikle
lage the pahre wahan pe har-su
hamari zid thi wahin se nikle
sunaun jab bhi ghazal main us ko
pasina us ki jabin se nikle
andheri shab aur main akela
koi to tara kahin se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.