nau-ba-nau ye jalwa-zai ye jamal-e-rang-rang
nau-ba-nau ye jalva-zā.ī ye jamāl-e-rañg-rañg
mohlat-e-dil ek lahza dāman-e-nazzāra tañg
hai kahāñ vo aag jo raushan rakhe dil kā alaav
barq-jaulāñ mahz chashmak sho.ala-e-gul mahz rañg
ai junūñ tīr-e-malāmat kā koī 'unvāñ nikāl
kaisā chipkā hai badan par firqa-e-nāmūs-o-nañg
ab ye us kā azm tai kar le jo rāh-e-ārzū
har-qadam dām-e-tahayyur har-qadam dīvār-e-sañg
aaj dekhā sab ne qātil kī tahī-dastī kā haal
sail-e-ḳhūn-e-āshiqāñ meñ bah ga.e shamshīr-o-sañg
nau-ba-nau ye jalwa-zai ye jamal-e-rang-rang
mohlat-e-dil ek lahza daman-e-nazzara tang
hai kahan wo aag jo raushan rakhe dil ka alaw
barq-jaulan mahz chashmak shoala-e-gul mahz rang
ai junun tir-e-malamat ka koi 'unwan nikal
kaisa chipka hai badan par firqa-e-namus-o-nang
ab ye us ka azm tai kar le jo rah-e-arzu
har-qadam dam-e-tahayyur har-qadam diwar-e-sang
aaj dekha sab ne qatil ki tahi-dasti ka haal
sail-e-KHun-e-ashiqan mein bah gae shamshir-o-sang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.