naujawani la-makani jaan-fishani aur tum
naujawani la-makani jaan-fishani aur tum
Mukesh Sharma Manmauji
MORE BYMukesh Sharma Manmauji
naujavānī lā-makānī jāñ-fishānī aur tum
der se aa.e mere lafzoñ meñ mā'nī aur tum
ziist kā pur-ḳhār sahrā paar karne ke liye
do hī chīzeñ lāzmī haiñ she'r-ḳhvānī aur tum
is jahāñ se us jahāñ tak do hī chīzeñ haiñ pavitr
svarg se utrī huī gangā kā paanī aur tum
laakh samjhā.ūñ magar ḳhud ko yaqīñ hotā nahīñ
bas isī hairat meñ huuñ merī divānī aur tum
naujawani la-makani jaan-fishani aur tum
der se aae mere lafzon mein ma'ni aur tum
zist ka pur-KHar sahra par karne ke liye
do hi chizen lazmi hain she'r-KHwani aur tum
is jahan se us jahan tak do hi chizen hain pawitr
swarg se utri hui ganga ka pani aur tum
lakh samjhaun magar KHud ko yaqin hota nahin
bas isi hairat mein hun meri diwani aur tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.