naujawani mein ajab dil ki lagi hoti hai
naujavānī meñ ajab dil kī lagī hotī hai
ġham ke sahne meñ bhī insāñ ko ḳhushī hotī hai
pyaar jab pyaar kī manzil pe pahuñch jaatā hai
hañste chehroñ ke bhī āñkhoñ meñ namī hotī hai
paas rahte haiñ to dil mahv-e-tarab rahtā hai
duur hote haiñ to mahsūs kamī hotī hai
jab bhī hotā hai gumāñ un se kahīñ milne kā
dil ke armānoñ meñ ik dhuum machī hotī hai
nāma-bar se na kahūñ baat to phir fā.eda kyā
aur kah duuñ to tirī parda-darī hotī hai
jab bhī to mere tasavvur meñ makīñ hotā hai
dil kī duniyā tire jalvoñ se sajī hotī hai
kaj-adā.ī ho sitam ho ki hoñ altāf-o-karam
apne mahbūb kī har chiiz bhalī hotī hai
kyā batā.ūñ maiñ tire jism kī rañgīnī ko
jaise sāġhar meñ mai-e-nāb Dhalī hotī hai
un ke aane se sukūñ aane lagā hai 'afzal'
aaj kuchh dard meñ mahsūs kamī hotī hai
naujawani mein ajab dil ki lagi hoti hai
gham ke sahne mein bhi insan ko KHushi hoti hai
pyar jab pyar ki manzil pe pahunch jata hai
hanste chehron ke bhi aankhon mein nami hoti hai
pas rahte hain to dil mahw-e-tarab rahta hai
dur hote hain to mahsus kami hoti hai
jab bhi hota hai guman un se kahin milne ka
dil ke armanon mein ek dhum machi hoti hai
nama-bar se na kahun baat to phir faeda kya
aur kah dun to teri parda-dari hoti hai
jab bhi to mere tasawwur mein makin hota hai
dil ki duniya tere jalwon se saji hoti hai
kaj-adai ho sitam ho ki hon altaf-o-karam
apne mahbub ki har chiz bhali hoti hai
kya bataun main tere jism ki rangini ko
jaise saghar mein mai-e-nab Dhali hoti hai
un ke aane se sukun aane laga hai 'afzal'
aaj kuchh dard mein mahsus kami hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.