navā-e-vaqt kā utrā abhī ḳhumār nahīñ
abhī talak to mujhe ḳhud pe iḳhtiyār nahīñ
huā hai ye bhī ki sahrā meñ phuul khilte haiñ
safar nasīb ke hisse meñ kyuuñ bahār nahīñ
tilism-e-jān ke sab raaz khol duuñ kaise
nahīñ nahīñ mujhe ḳhud par bhī e'tibār nahīñ
shab-e-siyāh chhupātī hai mere dāġhoñ ko
use ye kah do ki gesū abhī sañvār nahīñ
masāfatoñ kī thakan se ye jism-o-jān hai chuur
safar tavīl hai raste meñ rāhguzār nahīñ
kabhī to tishnagī kam ho hī jā.egī lekin
zamāna biit gayā utre dariyā paar nahīñ
nawa-e-waqt ka utra abhi KHumar nahin
abhi talak to mujhe KHud pe iKHtiyar nahin
hua hai ye bhi ki sahra mein phul khilte hain
safar nasib ke hisse mein kyun bahaar nahin
tilism-e-jaan ke sab raaz khol dun kaise
nahin nahin mujhe KHud par bhi e'tibar nahin
shab-e-siyah chhupati hai mere daghon ko
use ye kah do ki gesu abhi sanwar nahin
masafaton ki thakan se ye jism-o-jaan hai chur
safar tawil hai raste mein rahguzar nahin
kabhi to tishnagi kam ho hi jaegi lekin
zamana bit gaya utre dariya par nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.