naya aalam nazar aata jo main mahw-e-fughan hota
nayā aalam nazar aatā jo maiñ mahv-e-fuġhāñ hotā
zamīñ zer-e-qadam hotī na sar par āsmāñ hotā
chaman meñ barq bhī girtī to kyā ai bāġhbāñ hotā
yahī hotā mirī āñkhoñ meñ merā āshiyāñ hotā
tirī talvār ke muñh bul-havas aġhyār kyā aate
gale vo ḳhud lagā letī jo merā imtihāñ hotā
falak us ko miTātā kyā koī us ko uThātā kyā
tire dar tak jo aa jaatā vo sang-e-āstāñ hotā
shabāb aane se pahle jaan dete ahl-e-dil tum par
tumhāre daur meñ kaahe ko phir koī javāñ hotā
tire bīmār par ye raat bhārī kyoñ na ho jaatī
sitāra jo shab-e-furqat meñ girtā āsmāñ hotā
vo jab tak sāmne thā maiñ taḌaptā hī rahā 'safdar'
ajal ko jaan de detā to qātil bad-gumāñ hotā
naya aalam nazar aata jo main mahw-e-fughan hota
zamin zer-e-qadam hoti na sar par aasman hota
chaman mein barq bhi girti to kya ai baghban hota
yahi hota meri aankhon mein mera aashiyan hota
teri talwar ke munh bul-hawas aghyar kya aate
gale wo KHud laga leti jo mera imtihan hota
falak us ko miTata kya koi us ko uThata kya
tere dar tak jo aa jata wo sang-e-astan hota
shabab aane se pahle jaan dete ahl-e-dil tum par
tumhaare daur mein kahe ko phir koi jawan hota
tere bimar par ye raat bhaari kyon na ho jati
sitara jo shab-e-furqat mein girta aasman hota
wo jab tak samne tha main taDapta hi raha 'safdar'
ajal ko jaan de deta to qatil bad-guman hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.