naya nazara bhi dekha hua dikhata hai
nayā nazāra bhī dekhā huā dikhātā hai
tumhārā saath bhī kyā mo'jiza dikhātā hai
kisī se apne ta'alluq ko jāñchnā paḌ jaa.e
to dekhnā vo tumheñ ḳhvāb kyā dikhātā hai
vo mujh se duur mire saath chaltā hai jaise
vo ik sitāra hai aur rāsta dikhātā hai
guzarte vaqt ko ik microscope samajh
jo qurbatoñ meñ chhupā fāsla dikhātā hai
kahā mu'āf ki jangal ghanā hai aur mire chāñd
yahāñ pe tujh se ziyāda diyā dikhātā hai
ghaḌī se tez hai shāyad ye aa.ina 'hāris'
ki pīchhe vāloñ ko aage khaḌā dikhātā hai
naya nazara bhi dekha hua dikhata hai
tumhaara sath bhi kya mo'jiza dikhata hai
kisi se apne ta'alluq ko jaanchna paD jae
to dekhna wo tumhein KHwab kya dikhata hai
wo mujh se dur mere sath chalta hai jaise
wo ek sitara hai aur rasta dikhata hai
guzarte waqt ko ek microscope samajh
jo qurbaton mein chhupa fasla dikhata hai
kaha mu'af ki jangal ghana hai aur mere chand
yahan pe tujh se ziyaada diya dikhata hai
ghaDi se tez hai shayad ye aaina 'haaris'
ki pichhe walon ko aage khaDa dikhata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.