naya parinda qafas se bahar bana raha hun
nayā parinda qafas se bāhar banā rahā huuñ
maiñ apnī marzī kā pesh-manzar banā rahā huuñ
mujhe bhī auroñ kī tarah kāġhaz milā hai lekin
meñ is se naav nahīñ samundar banā rahā huuñ
yahāñ se hijrat ke ba.ad bhī maiñ yahīñ rahūñgā
nayā makāñ apne ghar ke andar banā rahā huuñ
ajab ḳhamoshī hai jhiil ke Thahre pāniyoñ meñ
meñ is ḳhamoshī se ek patthar banā rahā huuñ
ye ghar to saj jā.egā parinda hanūt kar ke
magar maiñ apnī misāl kyūñkar banā rahā huuñ
aur ab udāsī kī satr-poshī kā marhala hai
thakan ke dhāgoñ se ek chādar banā rahā huuñ
bahut hī vīrāniyāñ haiñ ġhurfe kī jāliyoñ meñ
maiñ in kī ḳhātir nayā kabūtar banā rahā huuñ
naya parinda qafas se bahar bana raha hun
main apni marzi ka pesh-manzar bana raha hun
mujhe bhi auron ki tarah kaghaz mila hai lekin
mein is se naw nahin samundar bana raha hun
yahan se hijrat ke baad bhi main yahin rahunga
naya makan apne ghar ke andar bana raha hun
ajab KHamoshi hai jhil ke Thahre paniyon mein
mein is KHamoshi se ek patthar bana raha hun
ye ghar to saj jaega parinda hanut kar ke
magar main apni misal kyunkar bana raha hun
aur ab udasi ki satr-poshi ka marhala hai
thakan ke dhagon se ek chadar bana raha hun
bahut hi viraniyan hain ghurfe ki jaliyon mein
main in ki KHatir naya kabutar bana raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.