naya raushan sahifa dikh raha nain
nayā raushan sahīfa dikh rahā na.iiñ
ḳhajista koī lahja dukh rahā na.iiñ
tirī sargoshiyoñ kā narm saaya
lagāyā zor saarā dikh rahā na.iiñ
yahīñ rakkhā thā ḳhvāboñ ke kināre
tirā anmol tohfa dikh rahā na.iiñ
dabā kar dil meñ jo rakkhā thā sho.ala
bahut maiñ ne kuredā dikh rahā na.iiñ
thakan nazroñ pe taarī ho rahī hai
na jaane kyuuñ vo chehrā dikh rahā na.iiñ
ghane jo peḌ the sab kaT ga.e kyā
kahāñ hai bahtā dariyā dikh rahā na.iiñ
jise chhū kar ghaTā gaane lagī thī
falak par vo sitārā dikh rahā na.iiñ
alamiya ye nahīñ to kyā hai 'sājid'
jo thā ham-zād merā dikh rahā na.iiñ
naya raushan sahifa dikh raha nain
KHajista koi lahja dukh raha nain
teri sargoshiyon ka narm saya
lagaya zor sara dikh raha nain
yahin rakkha tha KHwabon ke kinare
tera anmol tohfa dikh raha nain
daba kar dil mein jo rakkha tha shoala
bahut main ne kureda dikh raha nain
thakan nazron pe tari ho rahi hai
na jaane kyun wo chehra dikh raha nain
ghane jo peD the sab kaT gae kya
kahan hai bahta dariya dikh raha nain
jise chhu kar ghaTa gane lagi thi
falak par wo sitara dikh raha nain
alamiya ye nahin to kya hai 'sajid'
jo tha ham-zad mera dikh raha nain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.