nayan ki putli mein ai sirijan tera mubarak maqam dista
nayan ki putli mein ai sirijan tera mubarak maqam dista
Siraj Aurangabadi
MORE BYSiraj Aurangabadi
nayan kī putlī meñ ai sirījan tirā mubārak maqām distā
palak ke paT khol kar jo dekhūñ to mujh kuuñ māh-e-tamām distā
parī kī majlis meñ tujh kuuñ zāhid hanūz parvāngī nahīñ hai
mai-e-mohabbat kuuñ nosh kar tuuñ ki ab talak mujh kuuñ ḳhaam distā
sabhoñ siiñ mukh moḌ kar mirā dil prit ke fan meñ huā udāsī
namāz jī siiñ niyāz kī paḌh saf-e-junūñ kā imaam dastā
agarche har sarv rāst-qāmat chaman meñ maġhrūr-e-sar-kashī hai
muqābil us qadd-e-ḳhush-adā ke mirī nazar meñ ġhulām dastā
vo shakkarīñ-lab ne gosh-e-dil señ tamām sun kar yuuñ reḳhta kuuñ
kahā vo mīThe bachan señ mujh kuuñ 'sirāj' shīrīñ kalām dastā
nayan ki putli mein ai sirijan tera mubarak maqam dista
palak ke paT khol kar jo dekhun to mujh kun mah-e-tamam dista
pari ki majlis mein tujh kun zahid hanuz parwangi nahin hai
mai-e-mohabbat kun nosh kar tun ki ab talak mujh kun KHam dista
sabhon sin mukh moD kar mera dil prit ke fan mein hua udasi
namaz ji sin niyaz ki paDh saf-e-junun ka imam dasta
agarche har sarw rast-qamat chaman mein maghrur-e-sar-kashi hai
muqabil us qadd-e-KHush-ada ke meri nazar mein ghulam dasta
wo shakkarin-lab ne gosh-e-dil sen tamam sun kar yun reKHta kun
kaha wo miThe bachan sen mujh kun 'siraj' shirin kalam dasta
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 346)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.