naza ka aalam hai chaara-saz ghabrane lage
naza.a kā aalam hai chāra-sāz ghabrāne lage
ab tire bīmār-e-ġham ko ġhash pe ġhash aane lage
kyā zamīñ ab āsmāñ vaale bhī tharrāne lage
mere naale aaj shāyad arsh tak jaane lage
ālam-e-vahshat meñ kaam aa hī ga.ī dīvāngī
sun ke hāl-e-zār un ke bhī payām aane lage
ek din vo thā ki un ko dil se samjhātā thā maiñ
ek din ye hai ki ab vo mujh ko samjhāne lage
naaz se añgḌā.iyāñ lene lage vo dekh kar
vo mire ehsās ke sho.aloñ ko bhaḌkāne lage
jab uThā 'jauhar' jahāñ se koī nākām-e-hayāt
phuul se chehre hasīnoñ ke bhī murjhāne lage
naza ka aalam hai chaara-saz ghabrane lage
ab tere bimar-e-gham ko ghash pe ghash aane lage
kya zamin ab aasman wale bhi tharrane lage
mere nale aaj shayad arsh tak jaane lage
aalam-e-wahshat mein kaam aa hi gai diwangi
sun ke haal-e-zar un ke bhi payam aane lage
ek din wo tha ki un ko dil se samjhata tha main
ek din ye hai ki ab wo mujh ko samjhane lage
naz se angDaiyan lene lage wo dekh kar
wo mere ehsas ke shoalon ko bhaDkane lage
jab uTha 'jauhar' jahan se koi nakaam-e-hayat
phul se chehre hasinon ke bhi murjhane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.