naza ki hichki mariz-e-hijr ki dam-saz hai
naza.a kī hichkī marīz-e-hijr kī dam-sāz hai
sunñe vaale ġhaur se sun āḳhirī āvāz hai
laakh ai zāhid nishāt-e-jāñ iram kā raaz hai
jalva-gāh-e-nāz phir bhī jalva-gāh-e-nāz hai
kaun jān-e-ārzū mahv-e-ḳhirām-e-nāz hai
zarra zarra mere dil kā farsh-e-pā-andāz hai
muḳhtalif naġhme haiñ lekin ek hī āvāz hai
hastī-e-dil ek nairang-e-tilism-e-sāz hai
be-niyāz-e-jazb-e-ulfat intiqām-e-ishq dekh
dil thā pahle bazm meñ ab dil hī bazm-e-nāz hai
dekh kar pāmāl karnā merī turbat kī zamīñ
qabr hai zālim magar qabr-e-shahīd-e-nāz hai
jin ko armāñ hogā un ko hogā armāñ diid kā
zarra zarra apne dil kā jalva-gāh-e-nāz hai
zindagī us kī hai maut us kī hai turbat us kī hai
jis kī ḳhāk-e-dil pe vo mahv-e-ḳhirām-e-nāz hai
ab kahāñ vo naġhma-e-dil kī sadā-e-jāñ-navāz
bolne vaalā jo parda thā vahī be-sāz hai
fikr-e-āzādī ko ai sayyād āzādī samajh
ye taḌapnā dil kā bhī minjumla-e-parvāz hai
ai mire TuuTe hue dil kī sadā-e-muntashir
dekh jo hai jis jagah par gosh-bar-āvāz hai
is se pahle dil liyā thā tum ne jis andāz se
aaj bhī kyā baat karne kā vahī andāz hai
umr guzrī maut aa.ī ban ke anjām-e-hayāt
aur abhī tak ishq kā āġhāz hī āġhāz hai
jaan barbād-e-tamannā dil ḳharāb-e-ārzū
har-nafas rāh-e-talab meñ naġhma-e-be-sāz hai
āshiyāñ vaale ḳhudārā kar na zikr-e-āshiyāñ
pattā pattā gulsitāñ kā gosh-bar-āvāz hai
naġhma-e-roz-eazal tere tarannum ke nisār
sunñe vaalā aaj bhī mahv-e-sadā-e-sāz hai
dard ko rakhte haiñ siine meñ chhupā.e har ghaḌī
kyā kaheñ 'afqar' kisī se dil kā apne raaz hai
naza ki hichki mariz-e-hijr ki dam-saz hai
sunne wale ghaur se sun aaKHiri aawaz hai
lakh ai zahid nishat-e-jaan iram ka raaz hai
jalwa-gah-e-naz phir bhi jalwa-gah-e-naz hai
kaun jaan-e-arzu mahw-e-KHiram-e-naz hai
zarra zarra mere dil ka farsh-e-pa-andaz hai
muKHtalif naghme hain lekin ek hi aawaz hai
hasti-e-dil ek nairang-e-tilism-e-saz hai
be-niyaz-e-jazb-e-ulfat intiqam-e-ishq dekh
dil tha pahle bazm mein ab dil hi bazm-e-naz hai
dekh kar pamal karna meri turbat ki zamin
qabr hai zalim magar qabr-e-shahid-e-naz hai
jin ko arman hoga un ko hoga arman did ka
zarra zarra apne dil ka jalwa-gah-e-naz hai
zindagi us ki hai maut us ki hai turbat us ki hai
jis ki KHak-e-dil pe wo mahw-e-KHiram-e-naz hai
ab kahan wo naghma-e-dil ki sada-e-jaan-nawaz
bolne wala jo parda tha wahi be-saz hai
fikr-e-azadi ko ai sayyaad aazadi samajh
ye taDapna dil ka bhi minjumla-e-parwaz hai
ai mere TuTe hue dil ki sada-e-muntashir
dekh jo hai jis jagah par gosh-bar-awaz hai
is se pahle dil liya tha tum ne jis andaz se
aaj bhi kya baat karne ka wahi andaz hai
umr guzri maut aai ban ke anjam-e-hayat
aur abhi tak ishq ka aaghaz hi aaghaz hai
jaan barbaad-e-tamanna dil KHarab-e-arzu
har-nafas rah-e-talab mein naghma-e-be-saz hai
aashiyan wale KHudara kar na zikr-e-ashiyan
patta patta gulsitan ka gosh-bar-awaz hai
naghma-e-roz-eazal tere tarannum ke nisar
sunne wala aaj bhi mahw-e-sada-e-saz hai
dard ko rakhte hain sine mein chhupae har ghaDi
kya kahen 'afqar' kisi se dil ka apne raaz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.