naza mein ab mere jine ki dua karte hain
naza.a meñ ab mire jiine kī duā karte haiñ
merī jaan aap pe qurbān ye kyā karte haiñ
kaisī dil-gīr hai rūdād-e-mohabbat ai dost
ham kahā karte haiñ aur log sunā karte haiñ
mai-parastī koī bid.at nahīñ ham to ai shaiḳh
sunnat-e-'hāfiz'-o-'ḳhayyām' adā karte haiñ
jaur-e-mahbūb kā hotā ho kahīñ zikr to ham
ban ke anjān tavajjoh se sunā karte haiñ
marg-e-bīmār-e-mohabbat to koī baat nahīñ
aap ko rashk-e-masīhā bhī kahā karte haiñ
naza mein ab mere jine ki dua karte hain
meri jaan aap pe qurban ye kya karte hain
kaisi dil-gir hai rudad-e-mohabbat ai dost
hum kaha karte hain aur log suna karte hain
mai-parasti koi bidat nahin hum to ai shaiKH
sunnat-e-'hafiz'-o-'KHayyam' ada karte hain
jaur-e-mahbub ka hota ho kahin zikr to hum
ban ke anjaan tawajjoh se suna karte hain
marg-e-bimar-e-mohabbat to koi baat nahin
aap ko rashk-e-masiha bhi kaha karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.