naza mein yar ko paigham-e-wafa dete hain
naza.a meñ yaar ko paiġhām-e-vafā dete haiñ
us daġhābāz ko ham aaj daġhā dete haiñ
nigah-e-yās-o-qalaq se jo ho parda manzūr
ā.īye ā.īye ham sab ko haTā dete haiñ
kushta-e-teġh-e-nigah zinda-e-jāved huā
ye ishāre hameñ paiġhām-e-vafā dete haiñ
garmī-e-husn-e-tabī.at vo milī hai 'safdar'
rang dam bhar meñ raqīboñ kā uḌā dete haiñ
naza mein yar ko paigham-e-wafa dete hain
us daghabaz ko hum aaj dagha dete hain
nigah-e-yas-o-qalaq se jo ho parda manzur
aaiye aaiye hum sab ko haTa dete hain
kushta-e-tegh-e-nigah zinda-e-jawed hua
ye ishaare hamein paigham-e-wafa dete hain
garmi-e-husn-e-tabiat wo mili hai 'safdar'
rang dam bhar mein raqibon ka uDa dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.