nazakat mohabbat ka gham kha rahi hai
nazākat mohabbat kā ġham khā rahī hai
mohabbat mohabbat huī jā rahī hai
tumhārī nazar ke hasīñ mai-kadoñ meñ
urūs-e-ḳharābāt iThlā rahī hai
nazar kyā laḌī ek ḳhandāñ nazar se
javānī tabassum banī jā rahī hai
tasavvur ke hāthoñ meñ de kar khilaune
javānī mohabbat ko bahlā rahī hai
ye kyā baat hai ajnabī añkhḌiyoñ se
koī jānī-būjhī sadā aa rahī hai
na phūloñ kī rut hai na kaliyoñ kā mausam
magar bulbul-e-be-navā gā rahī hai
ye 'altāf' kaun aa gayā vaqt-e-āḳhir
qazā narm-o-shīrīñ huī jā rahī hai
nazakat mohabbat ka gham kha rahi hai
mohabbat mohabbat hui ja rahi hai
tumhaari nazar ke hasin mai-kadon mein
urus-e-KHarabaat iThla rahi hai
nazar kya laDi ek KHandan nazar se
jawani tabassum bani ja rahi hai
tasawwur ke hathon mein de kar khilaune
jawani mohabbat ko bahla rahi hai
ye kya baat hai ajnabi ankhDiyon se
koi jaani-bujhi sada aa rahi hai
na phulon ki rut hai na kaliyon ka mausam
magar bulbul-e-be-nawa ga rahi hai
ye 'altaf' kaun aa gaya waqt-e-aKHir
qaza narm-o-shirin hui ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.