nazare hue hain ishaare hue hain
nazare hue hain ishaare hue hain
Khwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
MORE BYKhwaja Aziz-ul-Hasan Majzuub
nazāre hue haiñ ishāre hue haiñ
ham un ke hue vo hamāre hue haiñ
hameñ to bhale lagte haiñ aur bhī ab
vo zevar ko apne utāre hue haiñ
nahīñ paas kuchh ek dil hai so vo bhī
qimār-e-mohabbat meñ haare hue haiñ
maze vasl meñ jo uThā.e the ai dil
judā.ī meñ ab vo hī aare hue haiñ
hameñ hosh hai ab kahāñ tan-badan kā
ki 'majzūb' un ke pukāre hue haiñ
nazare hue hain ishaare hue hain
hum un ke hue wo hamare hue hain
hamein to bhale lagte hain aur bhi ab
wo zewar ko apne utare hue hain
nahin pas kuchh ek dil hai so wo bhi
qimar-e-mohabbat mein haare hue hain
maze wasl mein jo uThae the ai dil
judai mein ab wo hi aare hue hain
hamein hosh hai ab kahan tan-badan ka
ki 'majzub' un ke pukare hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.