nazar aate hain wo hum ko KHafa se
nazar aate haiñ vo ham ko ḳhafā se
maraz achchhā na hogā ye davā se
javāb ab dete haiñ daadā ko pote
diye Darte nahīñ haiñ ab havā se
bhulā baiThā hai sab achchhā.ī merī
ġhalat alfāz kyā nikle zarā se
maiñ us ko dhokā denā chāhtā huuñ
mirā dil bhar gayā hai ab vafā se
mujhe jiine kī ab hasrat nahīñ hai
mujhe āzād kar do is sazā se
koī jaatā nahīñ masjid kī jānib
ḳhudā rūThā hai yā bande ḳhudā se
nazar aate hain wo hum ko KHafa se
maraz achchha na hoga ye dawa se
jawab ab dete hain dada ko pote
diye Darte nahin hain ab hawa se
bhula baiTha hai sab achchhai meri
ghalat alfaz kya nikle zara se
main us ko dhoka dena chahta hun
mera dil bhar gaya hai ab wafa se
mujhe jine ki ab hasrat nahin hai
mujhe aazad kar do is saza se
koi jata nahin masjid ki jaanib
KHuda ruTha hai ya bande KHuda se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.