nazar ab farigh-ul-baali ke aate hain nahin sae
nazar ab fāriġh-ul-bālī ke aate haiñ nahīñ saa.e
hamārī tang-dastī ne kahāñ tak paañv phailā.e
ġhazab hai ye kisī kī aarzū par os paḌ jaa.e
irāda muskurāne kā kare aur aañkh bhar aa.e
bashar majbūr ho kar hī to pī jaatā hai aañsū ko
agar aisā na ho to kyā ḳhushī se koī ġham khaa.e
mirī tar-dāmanī par zāhidān-e-ḳhushk hañste haiñ
maiñ nāzāñ us kī rahmat par ye sajdoñ par haiñ itrā.e
agar kuchh lutf piine kā uThānā hai to ai rindo
chale us vaqt daur-e-jām jab kaalī ghaTā chhā.e
darāzi-e-shab-e-ġham kī shikāyat ke evaz hamdam
agar kuchh āp-bītī hī kaheñ to raat kaT jaa.e
safar tanhā hī karte haiñ adam kā ai 'riyāzī' sab
na saath ahbāb dete haiñ na hamdam aur hamsā.e
nazar ab farigh-ul-baali ke aate hain nahin sae
hamari tang-dasti ne kahan tak panw phailae
ghazab hai ye kisi ki aarzu par os paD jae
irada muskurane ka kare aur aankh bhar aae
bashar majbur ho kar hi to pi jata hai aansu ko
agar aisa na ho to kya KHushi se koi gham khae
meri tar-damani par zahidan-e-KHushk hanste hain
main nazan us ki rahmat par ye sajdon par hain itrae
agar kuchh lutf pine ka uThana hai to ai rindo
chale us waqt daur-e-jam jab kali ghaTa chhae
daraazi-e-shab-e-gham ki shikayat ke ewaz hamdam
agar kuchh aap-biti hi kahen to raat kaT jae
safar tanha hi karte hain adam ka ai 'riyazi' sab
na sath ahbab dete hain na hamdam aur hamsae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.