nazar apna koi aata nahin ab
nazar apnā koī aatā nahīñ ab
ḳhud apne se koī naata nahīñ ab
tarastī hai ghaTā sāvan kī sar ko
koī sāvan meñ bhī gaatā nahīñ ab
musāfir kis tarah manzil pe pahuñche
koī rahbar nazar aatā nahīñ ab
ye kaisī kaifiyat hai āgahī kī
koī nashsha bhī bahkātā nahīñ ab
samajh paa.ī kahāñ duniyā tabhī to
kisī ko koī samjhātā nahīñ ab
yahāñ to kāġhazī pahluoñ kī rut hai
tabhī gul koī murjhātā nahīñ ab
nazar apna koi aata nahin ab
KHud apne se koi nata nahin ab
tarasti hai ghaTa sawan ki sar ko
koi sawan mein bhi gata nahin ab
musafir kis tarah manzil pe pahunche
koi rahbar nazar aata nahin ab
ye kaisi kaifiyat hai aagahi ki
koi nashsha bhi bahkata nahin ab
samajh pai kahan duniya tabhi to
kisi ko koi samjhata nahin ab
yahan to kaghazi pahluon ki rut hai
tabhi gul koi murjhata nahin ab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.