nazar bahaar na dekhe to be-qarar na ho
nazar bahār na dekhe to be-qarār na ho
ḳhizāñ sukūn se guzre agar bahār na ho
nigāh-e-dil meñ jo rañgīnī-e-bahār na ho
gunāhgār-e-tamāshā gunāhgār na ho
fareb-e-nik.hat-o-rañg āgahī shikār na ho
karishma-kār-e-chaman meñ agar bahār na ho
ḳhizāñ ke jaur-e-musalsal pe be-qarār na ho
bahār dekh magar ḳhūgar-e-bahār na ho
bajā hai ġhunche kā josh-e-numū se khil uThnā
jo gul pe aa.ī vo guzrī huī bahār na ho
mirā shu.ūr-e-bahārāñ ḳhizāñ pe ġhash ho 'sahāb'
agar vo naqs-e-bahārāñ kī yādgār na ho
nazar bahaar na dekhe to be-qarar na ho
KHizan sukun se guzre agar bahaar na ho
nigah-e-dil mein jo rangini-e-bahaar na ho
gunahgar-e-tamasha gunahgar na ho
fareb-e-nikhat-o-rang aagahi shikar na ho
karishma-kar-e-chaman mein agar bahaar na ho
KHizan ke jaur-e-musalsal pe be-qarar na ho
bahaar dekh magar KHugar-e-bahaar na ho
baja hai ghunche ka josh-e-numu se khil uThna
jo gul pe aai wo guzri hui bahaar na ho
mera shuur-e-bahaaran KHizan pe ghash ho 'sahab'
agar wo naqs-e-bahaaran ki yaadgar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.