nazar hamari sar-e-koh-e-tur aa jae
nazar hamārī sar-e-koh-e-tūr aa jaa.e
dayār-e-dil meñ zarā us kā nuur aa jaa.e
vo itnī duur hai mujh se ki sochtā huuñ maiñ
badan meñ kaash adā-e-tuyūr aa jaa.e
sabab hai ḳhuub kahīñ duur us ke rahne kā
nazar ko diid kā pahle shu'ūr aa jaa.e
hujūm-e-dahr meñ chehra dikhā.ī de us kā
bayān koī to bainassutūr aa jaa.e
har ek dil ko musalsal TaTolte rahiye
na jaane kaun se dil meñ futūr aa jaa.e
phir is se duur bahut duur ho rahegā ḳhudā
na had ke paar dil-e-nā-subūr aa jaa.e
churā.e fikr na āñkheñ ye 'badr' us se kaho
tumhāre fan kā huā hai zuhūr aa jaa.e
nazar hamari sar-e-koh-e-tur aa jae
dayar-e-dil mein zara us ka nur aa jae
wo itni dur hai mujh se ki sochta hun main
badan mein kash ada-e-tuyur aa jae
sabab hai KHub kahin dur us ke rahne ka
nazar ko did ka pahle shu'ur aa jae
hujum-e-dahr mein chehra dikhai de us ka
bayan koi to bainassutur aa jae
har ek dil ko musalsal TaTolte rahiye
na jaane kaun se dil mein futur aa jae
phir is se dur bahut dur ho rahega KHuda
na had ke par dil-e-na-subur aa jae
churae fikr na aankhen ye 'badr' us se kaho
tumhaare fan ka hua hai zuhur aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.