nazar har shai ko har zarre ko apna dil samajhta hun
nazar har shai ko har zarre ko apna dil samajhta hun
Ismail Khan Talib
MORE BYIsmail Khan Talib
nazar har shai ko har zarre ko apnā dil samajhtā huuñ
isī dīvāngī ko hosh kā hāsil samajhtā huuñ
Duboyā jazba-e-māsūm kī is ḳhush-farebī ne
mujhe dād-e-vafā deñge sar-e-mahfil samajhtā huuñ
ilāj-e-dard kis kāfir ko hai darkār chārāgar
mohabbat kī amānat hai ise maiñ dil samajhtā huuñ
tabī.at ho ga.ī hai is qadar ḳhūgar havādis kī
safīna mauj ko tūfān ko sāhil samajhtā huuñ
bujhā detā huuñ 'tālib' apnī āñkheñ us kī rāhoñ meñ
kisī ahl-e-hunar ko jab bhī is qābil samajhtā huuñ
nazar har shai ko har zarre ko apna dil samajhta hun
isi diwangi ko hosh ka hasil samajhta hun
Duboya jazba-e-masum ki is KHush-farebi ne
mujhe dad-e-wafa denge sar-e-mahfil samajhta hun
ilaj-e-dard kis kafir ko hai darkar chaaragar
mohabbat ki amanat hai ise main dil samajhta hun
tabiat ho gai hai is qadar KHugar hawadis ki
safina mauj ko tufan ko sahil samajhta hun
bujha deta hun 'talib' apni aankhen us ki rahon mein
kisi ahl-e-hunar ko jab bhi is qabil samajhta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.