nazar itab sarapa mizaj barham hai
nazar itaab sarāpā mizāj barham hai
zahe-nasīb ye ehsān-e-husn kyā kam hai
nafas nafas meñ ka.ī inqalāb pinhāñ haiñ
nazar nazar meñ tirī bijliyoñ kā aalam hai
ham apnī koshish-e-paiham se baaz kyoñ aa.eñ
abhī to pesh-e-nazar ye nizām-e-ālam hai
umiid thī ki masarrat ke giit gā.eñge
magar hanūz zabāñ par fasāna-e-ġham hai
kabhī to yaas kī duniyā badal hī jā.egī
ye dekhnā hai hamārā bhī azm mohkam hai
urūs-e-dahr kī zulfeñ sañvārne vaalo
kuchh apne hāl-e-pareshāñ kā bhī tumheñ ġham hai
nikal rahī hai har ik dil se aah ai 'faizī'
tirī ġhazal kā har ik sher nashtar-e-ġham hai
nazar itab sarapa mizaj barham hai
zahe-nasib ye ehsan-e-husn kya kam hai
nafas nafas mein kai inqalab pinhan hain
nazar nazar mein teri bijliyon ka aalam hai
hum apni koshish-e-paiham se baz kyon aaen
abhi to pesh-e-nazar ye nizam-e-alam hai
umid thi ki masarrat ke git gaenge
magar hanuz zaban par fasana-e-gham hai
kabhi to yas ki duniya badal hi jaegi
ye dekhna hai hamara bhi azm mohkam hai
urus-e-dahr ki zulfen sanwarne walo
kuchh apne haal-e-pareshan ka bhi tumhein gham hai
nikal rahi hai har ek dil se aah ai 'faizi'
teri ghazal ka har ek sher nashtar-e-gham hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.