nazar jalwon mein bhar jae to achchha
nazar jalwon mein bhar jae to achchha
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
nazar jalvoñ meñ bhar jaa.e to achchhā
muqaddar kaam kar jaa.e to achchhā
kisī sīrat pe mar jaa.e to achchhā
na sūrat par bashar jaa.e to achchhā
na gardan par rahe ehsāñ kisī kā
talab kī bhuuk mar jaa.e to achchhā
tamanna kī fusūñ-kārī kā tūfāñ
nigāhoñ se utar jaa.e to achchhā
sharāb-e-'ishq se ai jān-e-ālam
har ik paimāna bhar jaa.e to achchhā
ye zāhir hai ki dil jā.egā jaa.e
anokhī baat par jaa.e to achchhā
koī allāh kā banda navāze
mujhe begāna kar jaa.e to achchhā
guzārī 'umr aksar 'shād' rah kar
chalo yūñhī guzar jaa.e to achchhā
nazar jalwon mein bhar jae to achchha
muqaddar kaam kar jae to achchha
kisi sirat pe mar jae to achchha
na surat par bashar jae to achchha
na gardan par rahe ehsan kisi ka
talab ki bhuk mar jae to achchha
tamanna ki fusun-kari ka tufan
nigahon se utar jae to achchha
sharab-e-'ishq se ai jaan-e-alam
har ek paimana bhar jae to achchha
ye zahir hai ki dil jaega jae
anokhi baat par jae to achchha
koi allah ka banda nawaze
mujhe begana kar jae to achchha
guzari 'umr aksar 'shad' rah kar
chalo yunhi guzar jae to achchha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.